Lyrics

Aaj Muhammad aye moray ghar, naat lyrics.

Aaj Muhammad ﷺ aye moray ghar
Salli alaa ki dhoom hai ghar ghar

Ankhon mein maazagh ka surma
Sar par taaj Warafa’na ka
Husn-e-mujassam Allahu akbar,

Subh-e-azzal hai Mukhra un ka
Shaam-e-awad hai Zulf ka saya
Unse hua har qalb munawwar,

Mehndi lagaon ghar ko sajaon
Main angan mein naachon gaaon
Tann mann waaron Unke Charan par,

Aao sakhio mill kar gayein
Apne Piya ka jashn manayein
Salli alaa ki dhoom hai ghar ghar,

Rim jhim barse noor ki barkha
Aaya hai mi’raj ka Dulha
Dharti aur aakaash se behtar,

Dosh pe youn Gesu lehraye
Bheeni bheeni khusboo aye
Rang-o-nighat saara manzar,

Amina Bi ka Raaj Dulara
Kitna anokha kitna pyaara
Chaand uttar aaya hai zameen par,

Ban ke shab-e-miraaj mein Dulha
Pohnche jab aflaak pe Aaqa  ﷺ
Naghma tha har eik ki zuban par,

Tall jaayegi saari musibat
Aa jaye ga dor-e-rahat
Ab to mujhe dekheinge nazar bhar,

Anjum bekass Aap ka mangta
Dijiye bakshish jagg ke Data
Boond hoon main aur Aap samandar,

Aaj Muhammad ﷺ aye moray ghar
Salle alaa ki dhoom hai ghar ghar,

read more:-Aamina Bibi Ke Gulshan Mein Aayi Hai Taaza Bahaar, naat lyrics.

Related Articles

Back to top button