Lyrics

Chalo Diyaar-E-Nabi Ki Jaanib Durood Lab Par Saja Saja Kar,naat lyrics.

Chalo Diyaar-E-Nabi Ki Jaanib Durood Lab Par Saja Saja Kar,
Bahaar Luuttain Ge Ham Karam Ki Dilon Ko Daman Bana Bana Kar.

Na Un Ke Jesa Sakhi Hei Koii Na Un Ke Jesa Ghani Hei Koii,
Wo Be-Nawa-O Ka Har Jaga Se Nawaazte Hein Bula Bula Kar.

Mein Wo Nikamma Hun Jisski Jholi Main Koii Husn-E-Amal Nahiin Hei,
Magar Wo Ihsaan Kar Rahe Hein Khata-Ain Meri Chhupa Chhupa Kar.

Chalo Diyaar-E-Nabi Ki Jaanib Durood Lab Par Saja Saja Kar,
Bahaar Luuttain Ge Ham Karam Ki Dilon Ko Daman Bana Bana Kar.

Hei Unki Ummat Se Pyaar Kitna Karam Hei Rahmat Sha’aar Kitna,
Hamaare Jurmon Ko Dho Rahe Hein Wo Apne Aansu Baha Baha Kar.

Yahi Asaas-E-Amal Hei Meri Issi Se Bigrri Bani Hei Meri,
Samett-Ta Hun Karam Khuda Ka Nabi Ki Naatain Suna Suna Kar.

Chalo Diyaar-E-Nabi Ki Jaanib Durood Lab Par Saja Saja Kar,
Bahaar Luuttain Ge Ham Karam Ki Dilon Ko Daman Bana Bana Kar.

Wo Raahain Ab Tak Saji Huii Hein Dilon Ka Kaaba Bani Huii Hein,
Jahaan Jahaan Se Huzur Guzre Hein Naqsh Apna Jama Jama Kar.

Agar Muqaddar Ne Yaawri Ki Agar Madine Gya Mein Khaalid,
Qadam Qadam Khaak Uss Gali Ki Mein Chuum Lun Ga Uttha Uttha Kar.

Chalo Diyaar-E-Nabi Ki Jaanib Durood Lab Par Saja Saja Kar,
Bahaar Luuttain Ge Ham Karam Ki Dilon Ko Daman Bana Bana Kar.

read more:-Wah Kya Joodo Karam Hain Shahe BatHa Tera, naat lyrics.

Related Articles

Back to top button