Lyrics

Tera Shukriya tajdar E Madina lyrics

Tera Shukriya tajdar E Madina lyrics

Tera Shukriya tajdar E Madina
Mujhe phir dikhaya dayare Madina

Hasee’n Patta Patta hasee’n Dali Dali hasee’n Sab Ka Sab Lalazare Madina

Khuda Dil Se Duniya Ki Ulfat Mita De
Tu de Ulfate tajdar E Madina

Bhula De Chaman Ke Nazaro ko beshak
Hai Aisa Haseen reegzare Madina

Mein rizwane Jannat Ko Tohafe mein dunga
Aata Kijiye chand Khare Madina

Madina mein ghar Sabke gumkhwar hai
Jabhi to Sabhi Hai Nisare Madina

Tujhe wasta Hai Ya Khuda Mustafa ka
Banaa De Mujhe Dilphegare Madina

Agar Ho yaqin jakhm Bhar Jaenge sab
Laga Lo Zara Sa gubbare Madina

Tadapte Hain Jo hijr w furqat mein aaqa
Dikha do unhen bhi Bahar Madina

Idhar udhar Kyon bhatakta phiru’n mein
Muqaddar se hun rezah khare Madina

Madina mein Marne Ka Mujhko sharf do
Karam Ya Nabi tajdar E Madina

Do ATTAR ko Ashkbar aankh aaqa
Paey Ghous ya shaharyare Madina

Tera Shukriya tajdar E Madina
Mujhe phir dikhaya dayare Madina

Read more: Unki Mahak Ne Dil Ki Gunche Khila Diye Hain, lyrics naat

Tera Shukriya tajdar E Madina lyrics

Read it: Hasbi rabbi jallallah, ma fi qalbi ghairullah

Related Articles

Back to top button