Ya Nabi Salam Alaika Salam Lyrics
Ya Nabi Salam Alaika Ya Rasool Salam Alaika Lyrics
Sehr ka waqt tha, sehar ka waqt hai,
Masoom kaliyaan muskurati hain,
Hawwaein khair e maqtam kay taranay gungunati hain,
Farishtoon ki salami denay wali fauj gati thi,
Janab e Amina sunti thein, yeh awaz aati thi,
Ya Nabi salaam alaika
Ya Rasool salaam alaika
Ya Habib salaam alaika
Swalawatullah alaika
Rehmatoon kay taj walay,
do jahan kay raj walay,
aarsh ki mairaj walay,
aasiyoon ki laj walay
Ya Nabi salam alayka
Ya Rasool salaam alaika
Ya Habib salaam alaika
Swalawatullah alaika
Mustafa khir ul wara ho,
sarware har do sara ho,
apnay achoon ka tasaduk,
hum badoon ko bhi niba ho
Ya Nabi salaam alaika
Ya Rasool salaam alaika
Ya Habib salaam alaika
Swalawatullah alaika
Ho mubarak ahle imaan,
ho gayi subhay baharaan,
ho gaya har ghar charaghan,
Swalawatullah alaika
Amina Bibi ka jaya,
baharwi tareekh aaya,
subhe saadiq nay sunaya,
Swalawatullah alaika
As-tufailay Ghouse Azam,
Ganj Bakhsay faizay azam,
sadqaye Imam e Azam,
door houn sabh hi kay ranj o gham
Ya Nabi salaam alaika
Ya Rasool salaam alaika
Ya Habib salaam alaika
Swalawatullah alaika
Read it: Ae Saba Mustafa Se Keh Dena, Gum ke mare salaam karte hain, lyrics